Saturday, December 19, 2009

Wednesday, December 16, 2009

Zindgi mayoos hui hai....

Zindgi mayoos hui hai....
har simt toot-te armaa....
ya khuda mujhpe jara...,
raham farma karam farma...
ujda hua hai ghar mera
toofan bhi samne aaya hai...
sagar ki cheekhti lahro me,
sahil bhi tharraya hai......
dagmagati si naiyya meri,
ise mai le jaau kahaan....
ya khuda mujhpe jara,
raham farma karam farma...
dekhu jo aasma ki janib,
to akhir mai kya dekhu,
karu jo band aankhe,
khud ko rota dekhu...
mere bahte aansuo se,
dard mera hota hai bayaan...
ya khuda mujhpe jara...,
raham farma karam farma.

***Hamid Raja***

TERE HUSN KA CHARCHA JO SUN LIYA MAINE.

TERE HUSN KA CHARCHA JO SUN LIYA MAINE.
KI KHWABON ME JEENA SEEKH LIYA MAINE.

TERE NOOR KO BAYAAN KARTE-KARTE,
IK HOOR KO GHAZAL KAR DIYA MAINE.

YE ULFAT NE HI MEHARWANIYA ATA KI HAI,
JO SARE AALAM KO GAIR KAR LIYA MAINE.

GUJARIS BHI NA RAAS AAI SANAM KO,
KYU HOKE AASNA YE DIL JALA LIYA MAINE.

HAMID RAJA

*Tumhare rukh pe jab aaj meri nazar gai hai.

*Tumhare rukh pe jab aaj meri nazar gai hai.
ik arse baad tu mere dil pe utar gai hai.

*Gujri hai kai raate tumhe khwabo me lekar,
kya hua jo tere hizr me ik raat aur gujar gai hai.

*Ye saaf bayan karta hai tere mathe ka paseena,
ki tere paas bhi meri mohabbat ki khabar gai hai.

*Khusboo gujar rahi hai teri saanso se uthkar,
shayad isi wajah se ye hawaye thahar gai hai.

*Khamos kyu ho tum ab to kabool kar hi lo,
kyu mere naam se teri raate bikhar gai hai.

*** Hamid Raja***

Raje-e-ulfat jo bayaan ho gai hai.

Raje-e-ulfat jo bayaan ho gai hai.
Ik ankahi dastaan ho gai hai.

Jab se ishq me jalne lage hai,
Zindgi dhuaan-dhuaan ho gai hai.

Chale the gaib ki khusiyan churane,
Apne hisse me bas talkhiyan ho gai hai.

Kaun samjhega zazbaat mere sanam,
Khwahise bhi bejubaan ho gai hai.

Mujhe dekh jo unhone muskan bikheri,
Mujhe mili badduaye v duaa ho gai hai.

HAMID RAJA

AAINA HOKE TOOTNA TO SAHI LAGTA HAI.

AAINA HOKE TOOTNA TO SAHI LAGTA HAI.
ZINDGI MAUT SE HARE TO NAYA KYA HAI.

SADA-E-KHAMOSI KA AKS UBHARTA NAHI
KHAMOS HO AWAJ WALE TO NAYA KYA HAI.

AB DEKHNA HAI GARDIS ME SITARO KA CHAMAKNA,
AAKHIR SOORAJ KI RAUSNI ME NAYA KYA HAI.

CHALO DEKHE PATTHRO KE PIGHALNE KA SAFAR,
HAI MOM KOI PIGHLA HUA TO NAYA KYA HAI.

HOTA HAI MALOOM TITLIYO SE HUNAR TAJGI KA,
PHOOL DHOOP SE MURJHAYE TO NAYA KYA HAI.

BHOOL JA "HAMD" WISAL-E-YAAR KI GALIYAAN,
WO BHI BEWAFA NIKLA TO NAYA KYA HAI.

HAMID "HAMD"

jarurat nahi rausni wale chirago ki hame..............

************************************************

jarurat nahi rausni wale chirago ki hame..............
hame andhera hi pasand hai, andhere me rahne do.

kaali raat bhi gujarti nahi waqt ke sath..............
jab sawera dastak de, to sawere me rahne do.....

waqt ka fasana kya kuch nahi karta hai........
gar ham tamasa ban jaye,to tamase me rahne do.

majboor aag bhi samandar ko jalayegi kase.......
dariya pyas na bujhaye, to pyase hi rahne do.

sachhai fareb ko kabhi chhipati nahi hai........
fareb humse hua to,hame farebi hi rahne do.

taakat nahi daulat ki mere gam ke aasiyane me...
gareebi kismat me likhi hai,to gareebi me rahne do.

kamdam paresaan nahi gujaris bas itni hai........
ruswa hai agar ham to, ruswai me rahne do.

dost dusman bhi jahan ek ho jate hai...............
judai bani hai agar, to judai me rahne do.

pal bhar me jamane ki fiza badalti hai........
wafa ki hai agar, to wafai me rahne do.

ye malum nahi mai kis manjil ka musafir hu.......
tanhai chahi hai agar, to tanhai me rahne do.

***************************************************
***-HAMID RAJA-***

MUJHPE NAZRO KI NA YU SAZA KIJIYE.

MUJHPE NAZRO KI NA YU SAZA KIJIYE.
RAAJ-E-ULFAT NA YUN BAYAN KIJIYE.

HO JAYE KHABAR SAARE AALAM KO BHI,
MERI MOHABBAT KO NA YU HAWA KIJIYE.

DUNIYA WALE TUMHE BEHAYA NA KAH DE,
DEKH KE MUJHKO KUCH TO HAYA KIJIYE.

HAR BAAR BIMAR HO JANE KA JEE KARE,
MERE MARZ KI NA AISI DAWA KIJIYE.

HAMID "HAMD"

thodi khusi se sare gam mit jaaye,to kya baat hai.

thodi khusi se sare gam mit jaaye,to kya baat hai.
toote hue dil fir se jud jaye,to kya baat hai.
ik roj to aayegi hi maut ,baad zindgi ke.
qaas maut bhi zindgi ban jaaye,to kya baat hai.
yaad roj aata hai manjar jo,haseen gujra hai.
khayaal unka unhe bhi sath laaye ,to kya baat hai.
hamid "hamd"

KAUN JANE IN ARMAANO KI KAHAAN MANJIL HAI.

************_____________________________**************

KAUN JANE IN ARMAANO KI KAHAAN MANJIL HAI.
KAUN JANE KIS VEERANE ME MERI MEHFIL HAI.

KAUN JANE MERE ZAKHMO KA KAHAN MARHAM HAI,
KAUN JANE MERI REHGUJAR KAB TALAK MUSKIL HAI.

ZAMANE KA DARD MAI BAYAAN KARTA HU SHAUK SE,
MERE SEENE ME DHAKADTA HUA EK SHAYAR DIL HAI.

MAINE GAIRON KE LIYE KHOOB KIYE HAI SAZDE,
FIR PANAAH MILNA MUJHE KYU JARA MUSKIL HAI.

KHUSBU-E-BAAG SE WAASTA MERA HO NA HO,
KHIZA KE DARD ME DARD MERA SAAMIL HAI.

*****HAMIA RAJA*****
*************____________________________***************

DARD DIL KA JUBAAN SE JO PAAR HO GAYA.

DARD DIL KA JUBAAN SE JO PAAR HO GAYA.
MAI BHI SHAAYRO ME SUMAAR HO GAYA.

SHAIR-O-SHAYRI TO AB RAGO ME BHAR GAI HAI,
US GHAZAL KO JO MUJHPE AITWAAR HO GAYA.

TOOT HI JATA HAI DIL, TANHAAI ME HAR KISI KA,
USI TANHAAI PE APNA DIL NISAAR HO GAYA.

KHWAHIS-E-MAUT PE AAMADA HUA HAI DIL MERA,
IS BEDARD DUNIYA ME JEENA DUSWAR HO GAYA.

MOHABBAT KI TEHJEEB BATANE KA SALEEQA AAYA,
BIKHRI KALAM KI RAUSNI MAI FANKAAR HO GAYA.

"HAMID RAJA"

Kabhi bekhudi hai nazar me kabhi bekhayali hai.

Kabhi bekhudi hai nazar me kabhi bekhayali hai.
mohabbat ke bagair ab talak dil mera sawali hai.

Dosti me yakeen hai khoob mera aajma lo chahe,
inhi riston ne ab talak meri zindgi samhali hai,

Gar mujhpe ho aitwaar to kar lo pyar mujhse,
mere dil ka kamra sanam abhi bhi khaali hai.

Har kisi ki tarah mere andaj se dhoka na khao,
khwab aawara hai,bahle soorat bholibhali hai.

ab badha bhi lo kadam meri janib mere hamdam,
hamne to  shehrao me  bhi  dariya nikali hai.

........Hamid Raja......

aaine me jara sanwar ke dekhte hai.

Aaine me jara sanwar ke dekhte hai.
Husn  ko  aafat kar ke dekhte hai.

Mile na kahi meri nazar unki nazar se,
meri janib kuch is nazar se dekhte hai.

Karke band darwaje apne ghar ke,
Aake jharoke se mere ghar ko dekhte hai.

janege kaise log unki is dilkass ada ko,
wo chahre me naqaab kar ke dekhte hai.

Husn ki ibaadat hai ye ishq ki khatir,
Wo khud ko bejubaan kar ke dekhte hai.

HAMID "HAMD"

Usne kiye ulfat se inkar bahut.

Usne kiye ulfat se inkar bahut.
aur kisi ne kiye izhaar bahut.
************************************
usne khwahise kyu bejubaan kar li,
kya nahi mohabnat me qarar bahut.
*************************************
tamannao ko bhi saja yun mili,
wasl me v kar gaye takraar bahut.
*************************************
wafa ki dhoom hai bewafa tere sahar me,
fir mere sath hue kyu ittefaq bahut.
****************************************
ye baadal chand chhupate hai sabab se,
zamane me iske hai talabgaar bahut.
*****************************************
chehra meri chahat ka chilman me raha,
udhar raqeebo ne kiye deedaar bahut.
*****************************************
tanhaiyo me jakar suqoon milta hai,
aaj ke daur me hai raftaar bhahut.
****************************************
sitaro ne bhi ajeeb raaj khole hai,
karj me hu par hu khuddaar bahut.
****************************************
sajaya hai har kona ghar ka kyun,
kiski aamad me hai dil baqaraar bahut.
******************************************
zeest me dekho jara naseeb mera,
qatl ko mere hai taiyaar bahut.
******************************************
wo hi rakhe phool meri kabr pe aake,
jinhone kiya ho kisi se pyar bahut.
****************************************
maut na dena khuda itni jaldi mujhe,
baaki hai abhi unka intjaar bahut.
****************************************
HAMID"hamd"

CHHIPA KHAMOS LABO PE KOI SAWAAL ACHHA HAI.

*******************************************************
KHAMOS LABO PE CHHIPA KOI SAWAAL ACHHA HAI.
KOI DIL HI TOOT JAYE TO FIR MALAAL ACHHA HAI.
-------------------------------------------------------------------------------------
RAHKE PARDON ME BHI NAZRE CHURANA KYA HAI,
JO BHI HAI DIL CHURANE KA YE KHAYAL ACHHA HAI.
------------------------------------------------------------------------
BHALA AUR KYA BAAKI HAI UNKI ADAAKARI ME,
HUSN ACHHA HAI CHEHRE KA ZAMAAL ACHHA HAI.
------------------------------------------------------------------------
NA SAR UTHATE HAI NA KUCHH BOLTE HAI KABHI,
FIR V DIL CHURA JATE HAI YE KAMAAL ACHHA HAI.
-------------------------------------------------------------------------
KYU KAL KI FIQR ME HAM AAJ TABAAH KAR LE,
JAB KI TAB DEKHNGE ABHI TO HAAL ACHHA HAI.
-------------------------------------------------------------------------
"HAMID RAJA"
**********************************************************

Aaine pe aaina

********************************************************
AAINE PE AAINA YUN HI TOOT-TA CHALA GAYA.
MERA NASEEB MUJHSE HI ROOTHTA CHALA GAYA.

RAAH ME JO KAANTE MILE PAHAAD BAN GAYE,
MAI RET KE SAMANDAR ME V DOOBTA CHALA GAYA.

AASMA KE TAARE KAB CHAMKENGE MERE ASIYAANE ME,
MAI SOCHTA HI RAHA WAQT GUJARATA CHALA GAYA.

MERE DARAKHT KO PATJHAD HI MANJOOR THA "HAMID"
GIRE PATTO KO TASAWWUR ME SAMET-TA CHALA GAYA.
*******************************************************