Monday, October 25, 2010

kabhi tanhai me

Kabhi tanhai me unse mulakat ho...

Aankho hi aankho me kuchh baat ho..

is garaj se dekhte hai chand raat bhar....

Ki unke chehre se subah ki suraat ho....

Saturday, September 25, 2010

Toofan se guzre meri yaadon se tum

Toofan se gujre meri  yaado se tum,
Sab kuchh uda le gaye jane kahaan-kahaan.
Meri neend, mera chain,
mera suqoon, mere dil-o-jaan.
aahat jo teri aaye dil me,
agan si laga jati hai. 
saanse meri aahen meri,
bahak-bahak si jati hai.
mujhse nain milakar,
mujhme preet jagakar,
mere khwabo me rang bhar ke,
zindgi me nai umang bhar ke,
kar gaye mujhe fir tanha-tanha.
sab uda le gaye jane kahaan-kahaan.
aaj bhi dopahri panghat ko jati hu
sham hote hi chhat pe chali aati hu
wo khidki se teri galiyan dekhna
fir daud ke darwaje pe aana
tum bhool gaye shayad wo bahane purane
jab besudh chali aati thi tera wada nibhane
tere aane ki tamannai me meri,
zindgi hoti rahi dhuaan-dhuaan.
sab kuchh uda le gaye jane kahan-kahan,
Meri neend, mera chain,
mera suqoon, mere dil-o-jaan.
      hamid raja

Monday, July 5, 2010

shair

Roohani zakhm aankho se chhalak hi jate hai,

Sirf do ashq hi kafi hai, dard-e-bayaan ke liye.


shair

Humse hi hamara dil chhenkar wo itna itrate hai.
Nazar to aate hai magar nazre nahi milate hai.



Thursday, May 20, 2010

_Hum unke hote hi nahi_

Is kadar hoke tanha hum kabhi rote nahi

Achha hota ke hum unke hote hi nahi


Dilon se khelna unke sauk me samil hai,

Ye jante to dil anpna kabhi dete nahi.


Rah gai hai simatkar khwhise sab ki sab,

Meri mehfil me wo kabhi samil hote nahi


Mujhko rulane aa gaye sare gam mohabbat ke,

Unse kah do bagair lipte hum kabhi rote nahi.

Sunday, March 7, 2010

Aarzu kiski thi,ki suqoon-e-dil mila hota
Tark-e-wafa ke raste koi ghafil mila hota.
Ek zindgi kya, hajaar jaan qurbaan kar dete,
Bas mohabbat se maarne wala koi qatil mila hota

Thursday, January 14, 2010

todi khusi se

Thodi khusi se sare gam mit jaye to kya baat hai
Toote hue dil gar fir se jud jaye to kya baat hai

Ek roj to jaroor hi aayegi maut baad zindgi ke hamid
Qaas maut bhi zindgi ban jaye to kya baat hai

Yaad roj aata hai manzar jo haseen gujra hai
Khayal unka unhe bhi saath laye to kya baat hai
********************************************************************